You Are Here: Home » Urdu poetry sms » Gungunatey Huye Aanchal Ki Hawa Dey Mujh

Gungunatey Huye Aanchal Ki Hawa Dey Mujh Ko
Ungliyaan Pheir Kar Baloun Mein, Sula Dey Mujh Ko

Jiss Trah Faaltu Guldaan Parey Rehtey Hein
Apney Ghar Key Kisi Koney Sey Laga Dey Mujh Ko

Dubtey Dubtey Aawaz Teri Sun Jaoun
Akhri Baar Tu Sahil Sey Sada Dey Mujh Ko

Main Tery Hijar Mein Chup Chap Na Mar JAoun Kahein
Main Hun Saktey Mein, Kabhi Aaa Kar Rula Dey Mujh Ko

Dekh Main Ho Gya Hun Badnaam Kitboun Ki Tarha
Meri Tashheer Na Kar, Ab To Jala Dey Mujh Ko

Roothna Tera, Meri Jaan Liye Jata HAi
Aisey Naraz Na Ho,Hans K Dikha Dey Mujh Ko

Log Kehtey Hein K Yeh Ishq Nigal Jata HAi
Main Bhi Is Ishq Mein Aya Houn,Duaa De Mujh Ko

Yahi Auqaat Hai Meri Teray Jeevan Mein
Koi Kamzore Sa Lamha Houn,Bhula De Mujh Ko

Aur Kuch Nahein Manga Meray MAlik Tujh Sey
Us ki galiyun ki khak bana dey mujh ko…

Us ki galiyun ki khak bana dey mujh ko…

Us ki galiyun ki khak bana dey mujh ko…

Send This Sms To Mobile
Advertisment